ḳhudā use bhī kisī din zavāl detā hai
zamāna jis ke hunar kī misāl detā hai
vo jab shu.ūr ko lafzoñ meñ Dhaal detā hai
ajiib soch nirāle ḳhayāl detā hai
koī samajh na sakā us kī den kā andāza
kabhī ḳhushī kabhī rañj-o-malāl detā hai
kabhī vo zaḳhm lagātā hai mere siine par
kabhī vo paañv se kāñTā nikāl detā hai
usī ne dī hai gunāh-o-savāb kī tafrīq
vahī shu.ūr-e-harām-o-halāl detā hai
mire ḳhudā use sanjīdgī atā kar de
vo merī baat ko hañs hañs ke Taal detā hai
kabhī kināre bhī kashtī bachā nahīñ sakte
kabhī bhañvar bhī safīne uchhāl detā hai
vo kar guzartā hai aksar mirā junūñ 'ejāz'
ki jo ḳhirad ko bhī hairat meñ Daal detā hai
KHuda use bhi kisi din zawal deta hai
zamana jis ke hunar ki misal deta hai
wo jab shuur ko lafzon mein Dhaal deta hai
ajib soch nirale KHayal deta hai
koi samajh na saka us ki den ka andaza
kabhi KHushi kabhi ranj-o-malal deta hai
kabhi wo zaKHm lagata hai mere sine par
kabhi wo panw se kanTa nikal deta hai
usi ne di hai gunah-o-sawab ki tafriq
wahi shuur-e-haram-o-halal deta hai
mere KHuda use sanjidgi ata kar de
wo meri baat ko hans hans ke Tal deta hai
kabhi kinare bhi kashti bacha nahin sakte
kabhi bhanwar bhi safine uchhaal deta hai
wo kar guzarta hai aksar mera junun 'ejaz'
ki jo KHirad ko bhi hairat mein Dal deta hai
Leave a comment