Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaifi Azmi

  • Ghazal


patthar ke KHuda wahan bhi pae


patthar ke ḳhudā vahāñ bhī paa.e
ham chāñd se aaj lauT aa.e

dīvāreñ to har taraf khaḌī haiñ
kyā ho ga.e mehrbān saa.e

jañgal kī havā.eñ aa rahī haiñ
kāġhaz kā ye shahr uḌ na jaa.e

lailā ne nayā janam liyā hai
hai qais koī jo dil lagā.e

hai aaj zamīñ kā ġhusl-e-sehhat
jis dil meñ ho jitnā ḳhuun laa.e

sahrā sahrā lahū ke ḳheme
phir pyāse lab-e-furāt aa.e

patthar ke KHuda wahan bhi pae
hum chand se aaj lauT aae

diwaren to har taraf khaDi hain
kya ho gae mehrban sae

jangal ki hawaen aa rahi hain
kaghaz ka ye shahr uD na jae

laila ne naya janam liya hai
hai qais koi jo dil lagae

hai aaj zamin ka ghusl-e-sehhat
jis dil mein ho jitna KHun lae

sahra sahra lahu ke KHeme
phir pyase lab-e-furaat aae

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 patthar ke KHuda wahan bhi pae Nomaan Shauque

Leave a comment

+