bā.is-e-iztirāb ḳhāmoshī
ik musalsal azaab ḳhāmoshī
guftugū hai abhī hama-tan-gosh
kar rahī hai ḳhitāb ḳhāmoshī
kis qadar dil ḳharāsh hai mat pūchh
ḳhāmushī kā javāb ḳhāmoshī
saare lafzoñ ne saath chhoḌ diyā
jab huī bāryāb ḳhāmoshī
ḳhush-bayānī kā zo.am ḳhatm huā
kar ga.ī lā-javāb ḳhāmoshī
ik taraf pur-kashish mire ash.ār
ik taraf ijtināb ḳhāmoshī
un ke hoñToñ pe kuchh nahīñ 'rāġhib'
ho ga.ī be-naqāb ḳhāmoshī
bais-e-iztirab KHamoshi
ek musalsal azab KHamoshi
guftugu hai abhi hama-tan-gosh
kar rahi hai KHitab KHamoshi
kis qadar dil KHarash hai mat puchh
KHamushi ka jawab KHamoshi
sare lafzon ne sath chhoD diya
jab hui baryab KHamoshi
KHush-bayani ka zoam KHatm hua
kar gai la-jawab KHamoshi
ek taraf pur-kashish mere ashaar
ek taraf ijtinab KHamoshi
un ke honTon pe kuchh nahin 'raghib'
ho gai be-naqab KHamoshi
Leave a comment