taptī huī rāhoñ pe phirāyā mujhe din-bhar
yuuñ tere tasavvur ne satāyā mujhe din-bhar
dil meñ vo kasak chhoḌ gayā sub.h kā taarā
ik lamha bhī ārām na aayā mujhe din-bhar
vīrān bayābāñ meñ kabhī ujḌe gharoñ meñ
phirtā rahā le kar tirā saayā mujhe din-bhar
detī rahī ye chāñdnī shab-bhar mujhe āvāz
sūraj ne bhī rah rah ke bulāyā mujhe din-bhar
har samt bhare shahr the kyā jāniye phir bhī
tanhā.ī ke ehsās ne khāyā mujhe din-bhar
lahje meñ ghanī chhāñv ke pattoñ kī zabāñ meñ
peḌoñ ne tirā haal sunāyā mujhe din-bhar
ik pal meñ hī batlā ga.iiñ dam toḌtī kirneñ
vo raaz jo ai 'shām' na paayā mujhe din-bhar
tapti hui rahon pe phiraya mujhe din-bhar
yun tere tasawwur ne sataya mujhe din-bhar
dil mein wo kasak chhoD gaya subh ka tara
ek lamha bhi aaram na aaya mujhe din-bhar
viran bayaban mein kabhi ujDe gharon mein
phirta raha le kar tera saya mujhe din-bhar
deti rahi ye chandni shab-bhar mujhe aawaz
suraj ne bhi rah rah ke bulaya mujhe din-bhar
har samt bhare shahr the kya jaaniye phir bhi
tanhai ke ehsas ne khaya mujhe din-bhar
lahje mein ghani chhanw ke patton ki zaban mein
peDon ne tera haal sunaya mujhe din-bhar
ek pal mein hi batla gain dam toDti kirnen
wo raaz jo ai 'sham' na paya mujhe din-bhar
Leave a comment