Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dinesh Kumar

  • Ghazal


tera wajud teri shaKHsiyat kahani kya


tirā vajūd tirī shaḳhsiyat kahānī kyā
kisī ke kaam na aa.e to zindagānī kyā

havas hai jism kī āñkhoñ se pyaar ġhā.eb hai
badal ga.e haiñ sabhī ishq ke ma.ānī kyā

azal se jaarī hai tā hashr hī chalegā safar
samay ke sāmne dariyāoñ kī ravānī kyā

ye māntā huuñ maiñ mehmāñ ḳhudā kī rahmat hai
ke tum ne dekhī nahīñ merī mezbānī kyā

ḳhumār-e-ishq bhī utregā roz-e-vasl ke baad
rahegī apnī bhalā umr bhar javānī kyā

binā laḌe hī jo tū mushkiloñ se haarā hai
ragoñ meñ terī lahū ban gayā hai paanī kyā

ḳhushī kī chaah meñ kuchh ġham uThāne paḌte haiñ
guloñ kī ḳhaar nahīñ karte pāsbānī kyā

tera wajud teri shaKHsiyat kahani kya
kisi ke kaam na aae to zindagani kya

hawas hai jism ki aankhon se pyar ghaeb hai
badal gae hain sabhi ishq ke maani kya

azal se jari hai ta hashr hi chalega safar
samay ke samne dariyaon ki rawani kya

ye manta hun main mehman KHuda ki rahmat hai
ke tum ne dekhi nahin meri mezbani kya

KHumar-e-ishq bhi utrega roz-e-wasl ke baad
rahegi apni bhala umr bhar jawani kya

bina laDe hi jo tu mushkilon se haara hai
ragon mein teri lahu ban gaya hai pani kya

KHushi ki chah mein kuchh gham uThane paDte hain
gulon ki KHar nahin karte pasbani kya


Leave a comment

+