Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Ahmed Siddiqui

  • Ghazal


jo sada gunjti thi kanon mein


jo sadā gūñjtī thī kānoñ meñ
munjamid ho ga.ī zabānoñ meñ

lamha lamha pighal rahī hai hayāt
ḳhvāb kī yaḳh-zada chaTānoñ meñ

kitne jazbāt ho ga.e aahan
un mashīnoñ ke kār-ḳhānoñ meñ

shahd kā ghūñT ban gayā hogā
zā.iqa zahr kā zabānoñ meñ

ḳhāmushī bhuut ban ke rahtī hai
aaj insān ke makānoñ meñ

ik hasīñ phuul ban ke girtī hai
barq bhī mere āshiyānoñ meñ

fan ko nīlām kar diyā āḳhir
'kaif' logoñ ne chand aanoñ meñ

jo sada gunjti thi kanon mein
munjamid ho gai zabanon mein

lamha lamha pighal rahi hai hayat
KHwab ki yaKH-zada chaTanon mein

kitne jazbaat ho gae aahan
un mashinon ke kar-KHanon mein

shahd ka ghunT ban gaya hoga
zaiqa zahr ka zabanon mein

KHamushi bhut ban ke rahti hai
aaj insan ke makanon mein

ek hasin phul ban ke girti hai
barq bhi mere aashiyanon mein

fan ko nilam kar diya aaKHir
'kaif' logon ne chand aanon mein


Leave a comment

+