Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wahid Premi

  • Ghazal


nur se lakh iKHtilaf karo


nuur se laakh iḳhtilāf karo
azmat-e-mah kā e'tirāf karo

dekhnā ho jo husn ġhairoñ kā
apnī āñkhoñ se gard saaf karo

dair-o-masjid meñ kyā milegā tumheñ
kūcha-e-yār kā tavāf karo

zindagī meñ kise milā hai sukūñ
ġham se Dar kar na etakāf karo

soz-e-ġham kā vaqār hai tum se
āñsuoñ se na tar ġhilāf karo

saikḌoñ zaḳhm haiñ mire dil par
ab to yaaro mujhe muaaf karo

maslahat-kesh vaqt hai 'vāhid'
apnī fitrat ke tum ḳhilāf karo

nur se lakh iKHtilaf karo
azmat-e-mah ka e'tiraf karo

dekhna ho jo husn ghairon ka
apni aankhon se gard saf karo

dair-o-masjid mein kya milega tumhein
kucha-e-yar ka tawaf karo

zindagi mein kise mila hai sukun
gham se Dar kar na etakaf karo

soz-e-gham ka waqar hai tum se
aansuon se na tar ghilaf karo

saikDon zaKHm hain mere dil par
ab to yaro mujhe muaf karo

maslahat-kesh waqt hai 'wahid'
apni fitrat ke tum KHilaf karo


Source: Book : Mom (Pg. 81)

Leave a comment

+