Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faheem Gorakhpuri

  • Ghazal


dil jae magar dhyan buton ka nahin jata


dil jaa.e magar dhyān butoñ kā nahīñ jaatā
sar jaa.e magar ishq kā saudā nahīñ jaatā

sach kahte haiñ sab log mohabbat ko burā hai
hāl-e-dil-e-bīmār to dekhā nahīñ jaatā

ye kah ke vo bālīñ se mire uTh ga.e afsos
kambaḳht tirā haal to dekhā nahīñ jaatā

kyā deñge vo mere dil-e-sozāñ ko tasallī
siine pe mire haath to rakkhā nahīñ jaatā

tum chāhte ho hosh meñ āshiq ko jo laanā
kyoñ laḳhlaḳha-e-zulf suñghāyā nahīñ jaatā

tū sāmne mere nahīñ aatā hai ye andher
āñkhoñ hī meñ rah ke tirā pardā nahīñ jaatā

ġhash khā ke kalīm ek hī jalve meñ gire tum
ab bhī arinī kā tumheñ da.avā nahīñ jaatā

dil jae magar dhyan buton ka nahin jata
sar jae magar ishq ka sauda nahin jata

sach kahte hain sab log mohabbat ko bura hai
haal-e-dil-e-bimar to dekha nahin jata

ye kah ke wo baalin se mere uTh gae afsos
kambaKHt tera haal to dekha nahin jata

kya denge wo mere dil-e-sozan ko tasalli
sine pe mere hath to rakkha nahin jata

tum chahte ho hosh mein aashiq ko jo lana
kyon laKHlaKHa-e-zulf sunghaya nahin jata

tu samne mere nahin aata hai ye andher
aankhon hi mein rah ke tera parda nahin jata

ghash kha ke kalim ek hi jalwe mein gire tum
ab bhi arini ka tumhein dawa nahin jata


Leave a comment

+