dard jab dastaras-e-chāragarāñ se niklā
harf-e-inkār mohabbat kī zabāñ se niklā
zindagānī meñ sabhī rañg the mahrūmī ke
tujh ko dekhā to maiñ ehsās-e-ziyāñ se niklā
sab ba-āsānī mire ḳhvāb ko paḌh lete the
phir to maiñ anjuman-e-dil-zadagāñ se niklā
jazba-e-ishq ne jab eḌiyāñ apnī ragḌīñ
ḳhaak uḌātā huā ik dasht vahāñ se niklā
rozan-e-jism meñ ik dard huā thā dāḳhil
āḳhir āḳhir maiñ vo darvāza-e-jāñ se niklā
muddatoñ tak mirī taḳh.īl amiiñ thī us kī
aur ik din vo mirī hadd-e-gumāñ se niklā
dard jab dastaras-e-chaaragaran se nikla
harf-e-inkar mohabbat ki zaban se nikla
zindagani mein sabhi rang the mahrumi ke
tujh ko dekha to main ehsas-e-ziyan se nikla
sab ba-asani mere KHwab ko paDh lete the
phir to main anjuman-e-dil-zadagan se nikla
jazba-e-ishq ne jab eDiyan apni ragDin
KHak uData hua ek dasht wahan se nikla
rozan-e-jism mein ek dard hua tha daKHil
aaKHir aaKHir main wo darwaza-e-jaan se nikla
muddaton tak meri taKHil amin thi us ki
aur ek din wo meri hadd-e-guman se nikla
Leave a comment