Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Akash

  • Ghazal


lamha meri giraft mein aaya nikal gaya


lamha mirī giraft meñ aayā nikal gayā
jaise kisī ne haath milāyā nikal gayā

kāñTā sā ik chubhā thā mire dil meñ ḳhauf-e-marg
maiñ ne zarā sā zor lagāyā nikal gayā

shaitān merī zaat ke andar muqīm thā
lobān koTharī meñ jalāyā nikal gayā

jab raat ḳhuub Dhal ga.ī soyā mirā vajūd
kaun-o-makāñ kī sair ko saayā nikal gayā

mujh meñ muqīm shaḳhs musāfir thā dā.imī
sāmān ek roz uThāyā nikal gayā

ik pechdār kiil thā ye sirr-e-kā.enāt
maiñ ne ise pakaḌ ke ghumāyā nikal gayā

lamha meri giraft mein aaya nikal gaya
jaise kisi ne hath milaya nikal gaya

kanTa sa ek chubha tha mere dil mein KHauf-e-marg
main ne zara sa zor lagaya nikal gaya

shaitan meri zat ke andar muqim tha
loban koThari mein jalaya nikal gaya

jab raat KHub Dhal gai soya mera wajud
kaun-o-makan ki sair ko saya nikal gaya

mujh mein muqim shaKHs musafir tha daimi
saman ek roz uThaya nikal gaya

ek pechdar kil tha ye sirr-e-kaenat
main ne ise pakaD ke ghumaya nikal gaya


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+