Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lais Quraishi

  • Ghazal


barha yurish-e-afkar ne sone na diya


bārhā yūrish-e-afkār ne sone na diyā
fikr āzād hai āzār ne sone na diyā

band thiiñ dā.era-e-ḳhvāb meñ āñkheñ apnī
fikr kī gardish-e-parkār ne sone na diyā

thī tasavvur meñ nihāñ-ḳhāna-e-dil kī tasvīr
rāt-bhar dīda-e-bedār ne sone na diyā

mujh se the bar-sar-e-paikār mire zehn-o-zamīr
mujh ko bedārī-e-kirdār ne sone na diyā

koī manzar thā ki thā manzar-e-rañgīñ kā fareb
kyā kahīñ ḳhvāb-e-pur-asrār ne sone na diyā

mujh pe is tarah se raushan thī haqīqat apnī
umr-bhar chashm-e-ḳhabar-dār ne sone na diyā

maiñ ne kuchh dhuup meñ jalte hue chehre dekhe
phir mujhe sāya-e-dīvār ne sone na diyā

rāt-bhar bārish-e-ilhām rahī hai dil par
sub.h tak abr-guhar-bār ne sone na diyā

'lais' mauzū-e-suḳhan fikr-e-bashar thī ham the
aur phir garmī-e-guftār ne sone na diyā

barha yurish-e-afkar ne sone na diya
fikr aazad hai aazar ne sone na diya

band thin daera-e-KHwab mein aankhen apni
fikr ki gardish-e-parkar ne sone na diya

thi tasawwur mein nihan-KHana-e-dil ki taswir
raat-bhar dida-e-bedar ne sone na diya

mujh se the bar-sar-e-paikar mere zehn-o-zamir
mujh ko bedari-e-kirdar ne sone na diya

koi manzar tha ki tha manzar-e-rangin ka fareb
kya kahin KHwab-e-pur-asrar ne sone na diya

mujh pe is tarah se raushan thi haqiqat apni
umr-bhar chashm-e-KHabar-dar ne sone na diya

main ne kuchh dhup mein jalte hue chehre dekhe
phir mujhe saya-e-diwar ne sone na diya

raat-bhar barish-e-ilham rahi hai dil par
subh tak abr-guhar-bar ne sone na diya

'lais' mauzu-e-suKHan fikr-e-bashar thi hum the
aur phir garmi-e-guftar ne sone na diya


Leave a comment

+