vo bhī milne na.ī poshāk badal kar aayā
maiñ jo kal pairahan-e-ḳhāk badal kar aayā
ai zamīñ-zād tirī rif.ateñ chhūne ke liye
tujh talak maiñ ka.ī aflāk badal kar aayā
us ko raas aa.ī hai ye bazm-e-jahāñ jo bhī yahāñ
apnā paimāna-e-idrāk badal kar aayā
ishq meñ koī takalluf kī zarūrat to nahīñ
phir vo kyuuñ dīda-e-namnāk badal kar aayā
ham se kar be-sar-o-sāmānī-e-hijrat pe savāl
us se mat pūchh jo imlāk badal kar aayā
āñsuoñ se na badal paayā ruḳh-e-bād 'jamāl'
par mizāj-e-ḳhas-o-ḳhāshāk badal kar aayā
wo bhi milne nai poshak badal kar aaya
main jo kal pairahan-e-KHak badal kar aaya
ai zamin-zad teri rifaten chhune ke liye
tujh talak main kai aflak badal kar aaya
us ko ras aai hai ye bazm-e-jahan jo bhi yahan
apna paimana-e-idrak badal kar aaya
ishq mein koi takalluf ki zarurat to nahin
phir wo kyun dida-e-namnak badal kar aaya
hum se kar be-sar-o-samani-e-hijrat pe sawal
us se mat puchh jo imlak badal kar aaya
aansuon se na badal paya ruKH-e-baad 'jamal'
par mizaj-e-KHas-o-KHashak badal kar aaya
Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 566) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14
Leave a comment