Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Badiuzzaman Khawar

  • Ghazal


bhagte suraj ko pichhe chhoD kar jaenge hum


bhāgte sūraj ko pīchhe chhoḌ kar jā.eñge ham
shaam ke hote hī vāpas apne ghar jā.eñge ham

kāTne ko ek shab Thahre haiñ tere shahr meñ
kyā batā.eñ sub.h hogī to kidhar jā.eñge ham

dhuup meñ phūloñ sā murjhā bhī ga.e to kyā huā
shahr se hoñToñ ke paimāne to bhar jā.eñge ham

aaj gardūñ kī bulandī nāpne meñ mahv haiñ
kal kisī gahre samundar meñ utar jā.eñge ham
DhūñDte khoyā huā chehra kisī shīshe meñ kyuuñ
jānte gar ye ki saa.e se bhī Dar jā.eñge ham

kuchh hamārā haal bhī 'ḳhāvar' hai kundan kī tarah
dukh ke sho.aloñ meñ jaleñge to nikhar jā.eñge ham

bhagte suraj ko pichhe chhoD kar jaenge hum
sham ke hote hi wapas apne ghar jaenge hum

kaTne ko ek shab Thahre hain tere shahr mein
kya bataen subh hogi to kidhar jaenge hum

dhup mein phulon sa murjha bhi gae to kya hua
shahr se honTon ke paimane to bhar jaenge hum

aaj gardun ki bulandi napne mein mahw hain
kal kisi gahre samundar mein utar jaenge hum
DhunDte khoya hua chehra kisi shishe mein kyun
jaante gar ye ki sae se bhi Dar jaenge hum

kuchh hamara haal bhi 'KHawar' hai kundan ki tarah
dukh ke shoalon mein jalenge to nikhar jaenge hum


Leave a comment

+