dars leñge dil ke ik be-rabt afsāne se kyā
ahl-e-duniyā chāhte haiñ tere dīvāne se kyā
ye jalā vo bujh ga.ī aur baat maggham rah ga.ī
sham.a kahnā chāhtī thī apne parvāne se kyā
hosh meñ hote to us kā jā.eza lete zarūr
chhoḌ kar aa.e haiñ kyā laa.e haiñ maiḳhāne se kyā
ab ye hālat hai ki pī kar bhī nahīñ hotā surūr
nashsha koī le uḌā hai mere paimāne se kyā
dars lenge dil ke ek be-rabt afsane se kya
ahl-e-duniya chahte hain tere diwane se kya
ye jala wo bujh gai aur baat maggham rah gai
shama kahna chahti thi apne parwane se kya
hosh mein hote to us ka jaeza lete zarur
chhoD kar aae hain kya lae hain maiKHane se kya
ab ye haalat hai ki pi kar bhi nahin hota surur
nashsha koi le uDa hai mere paimane se kya
Source: Nawae Sarosh
Leave a comment