Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmi Badayuni

  • Ghazal


walwale jab hawa ke baiTh gae


valvale jab havā ke baiTh ga.e
ham bhī sham.eñ bujhā ke baiTh ga.e

vaqt aayā jo tiir khāne kā
mashvare duur jā ke baiTh ga.e

iid ke roz ham phaTī chādar
pichhlī saf meñ bichhā ke baiTh ga.e

koī bārāt hī nahīñ aa.ī
ratjage gā bajā ke baiTh ga.e

naav TuuTī to saare parda-nashīñ
sāmne nā-ḳhudā ke baiTh ga.e

be-zabānī meñ aur kyā karte
gāliyāñ sun-sunā ke baiTh ga.e

walwale jab hawa ke baiTh gae
hum bhi shamen bujha ke baiTh gae

waqt aaya jo tir khane ka
mashware dur ja ke baiTh gae

id ke roz hum phaTi chadar
pichhli saf mein bichha ke baiTh gae

koi baraat hi nahin aai
ratjage ga baja ke baiTh gae

naw TuTi to sare parda-nashin
samne na-KHuda ke baiTh gae

be-zabani mein aur kya karte
galiyan sun-suna ke baiTh gae


Source: Book : naquush (Pg. 294) Edition : 1979

Leave a comment

+