Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daud Aurangabadi

  • Ghazal


dil mein KHayal-e-yar hai jasus ki namat


dil meñ ḳhayāl-e-yār hai jāsūs kī namat
rakhtā huuñ is kuuñ nañg suuñ nāmūs kī namat

vīrāñ hai siina bas-ki tire baaj ai sanam
fariyād-e-dil hai naġhma-e-nāqūs kī namat

us rashk-e-mahr paas pahuñchne kā shauq hai
is vāste añjhūñ haiñ mire uus kī namat

is fasl-e-nau-bahār meñ be-bāda-e-ġhurūr
har bul-havas hai rañg meñ tā.ūs kī namat

us sham.a-rū ke ishq meñ 'dā.ūd' gal sakal
tan ho rahā hai parda-e-fānūs kī namat

dil mein KHayal-e-yar hai jasus ki namat
rakhta hun is kun nang sun namus ki namat

viran hai sina bas-ki tere baj ai sanam
fariyaad-e-dil hai naghma-e-naqus ki namat

us rashk-e-mahr pas pahunchne ka shauq hai
is waste anjhun hain mere us ki namat

is fasl-e-nau-bahaar mein be-baada-e-ghurur
har bul-hawas hai rang mein taus ki namat

us shama-ru ke ishq mein 'daud' gal sakal
tan ho raha hai parda-e-fanus ki namat


Leave a comment

+