mirī nigāh meñ lamhoñ kā ḳhvāb utrā thā
zamīñ kī sat.h pe yā māhtāb utrā thā
vo ḳhaas lamha jise umr-e-jāvedāñ kahiye
vo ban ke vasl kā jām-e-sharāb utrā thā
ye kaisī chuuk huī be-ḳhudī meñ ham se ki bas
tamām umr musalsal azaab utrā thā
muqābla kiyā jis peḌ ne havāoñ kā
usī pe barq-e-tapāñ kā itaab utrā thā
nadī jo pyaas bujhātī thī sab kī sadiyoñ se
ḳhud us kī pyaas bujhāne sarāb utrā thā
sahīfa-e-ġham-e-hastī kā jab huā thā nuzūl
to mujh pe soz-e-mohabbat kā baab utrā thā
'karāmat' us ko to jaanā thā āsmāñ se pare
vo qāfila jo sar-e-āftāb utrā thā
meri nigah mein lamhon ka KHwab utra tha
zamin ki sath pe ya mahtab utra tha
wo KHas lamha jise umr-e-jawedan kahiye
wo ban ke wasl ka jam-e-sharab utra tha
ye kaisi chuk hui be-KHudi mein hum se ki bas
tamam umr musalsal azab utra tha
muqabla kiya jis peD ne hawaon ka
usi pe barq-e-tapan ka itab utra tha
nadi jo pyas bujhati thi sab ki sadiyon se
KHud us ki pyas bujhane sarab utra tha
sahifa-e-gham-e-hasti ka jab hua tha nuzul
to mujh pe soz-e-mohabbat ka bab utra tha
'karamat' us ko to jaana tha aasman se pare
wo qafila jo sar-e-aftab utra tha
Source: Sang-e-meel
Leave a comment