Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Karrar Noori

  • Ghazal


har taraf tazkira-e-jurm-o-saza hota hai


har taraf tazkira-e-jurm-o-sazā hotā hai
aaj ham samjhe ki banda bhī ḳhudā hotā hai

jaise rahte hoñ kisī shaḳhs kī jāgīr meñ ham
dil meñ rah rah ke ye ehsās sā kyā hotā hai

ham-nashīñ ġhaur na kar baat ko mahsūs to kar
is chhaTī his meñ koī ḳhatra chhupā hotā hai

apne ehsās meñ ai vā.iz-e-taslīm-o-razā
riñd paimāna-ba-kaf ho to ḳhudā hotā hai

kitnā pyārā hai vo 'nūrī' mirā vaqtī dushman
merī be-rāh-ravī par jo ḳhafā hotā hai

har taraf tazkira-e-jurm-o-saza hota hai
aaj hum samjhe ki banda bhi KHuda hota hai

jaise rahte hon kisi shaKHs ki jagir mein hum
dil mein rah rah ke ye ehsas sa kya hota hai

ham-nashin ghaur na kar baat ko mahsus to kar
is chhaTi his mein koi KHatra chhupa hota hai

apne ehsas mein ai waiz-e-taslim-o-raza
rind paimana-ba-kaf ho to KHuda hota hai

kitna pyara hai wo 'nuri' mera waqti dushman
meri be-rah-rawi par jo KHafa hota hai


Leave a comment

+