Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibn e Insha

  • Ghazal


hum un se agar mil baiThe hain kya dosh hamara hota hai


ham un se agar mil baiThe haiñ kyā dosh hamārā hotā hai
kuchh apnī jasārat hotī hai kuchh un kā ishārā hotā hai

kaTne lagīñ rāteñ āñkhoñ meñ dekhā nahīñ palkoñ par aksar
yā shām-e-ġharībāñ kā jugnū yā sub.h kā taarā hotā hai

ham dil ko liye har des phire is jins ke gāhak mil na sake
ai banjāro ham log chale ham ko to ḳhasārā hotā hai

daftar se uThe kaife meñ ga.e kuchh sher kahe kuchh coffē pī
pūchho jo ma.āsh kā 'inshā'-jī yuuñ apnā guzārā hotā hai

hum un se agar mil baiThe hain kya dosh hamara hota hai
kuchh apni jasarat hoti hai kuchh un ka ishaara hota hai

kaTne lagin raaten aankhon mein dekha nahin palkon par aksar
ya sham-e-ghariban ka jugnu ya subh ka tara hota hai

hum dil ko liye har des phire is jins ke gahak mil na sake
ai banjaro hum log chale hum ko to KHasara hota hai

daftar se uThe kaife mein gae kuchh sher kahe kuchh coffee pi
puchho jo maash ka 'insha'-ji yun apna guzara hota hai


Leave a comment

+