Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghufran Amjad

  • Ghazal


kab se banjar thi nazar KHwab to aaya


kab se banjar thī nazar ḳhvāb to aayā
shukr hai dasht meñ sailāb to aayā

raushnī le ke aqīdoñ ke khañDar meñ
makr oḌhe sahī mahtāb to aayā

kashti-e-jāñ ko ye taskīn bahut hai
ḳhairiyat pūchhne gardāb to aayā

daulat ishq gañvā kar sahī 'amjad'
fahm meñ nukta-e-ādāb to aayā

kab se banjar thi nazar KHwab to aaya
shukr hai dasht mein sailab to aaya

raushni le ke aqidon ke khanDar mein
makr oDhe sahi mahtab to aaya

kashti-e-jaan ko ye taskin bahut hai
KHairiyat puchhne gardab to aaya

daulat ishq ganwa kar sahi 'amjad'
fahm mein nukta-e-adab to aaya

RECITATIONS Ghufran Amjad00:00/00:00 kab se banjar thi nazar KHwab to aaya Ghufran Amjad

Leave a comment

+