ghaḌī jiitā ghaḌī martā rahā huuñ
use jaate hue taktā rahā huuñ
maiñ ḳhud ko sāmne tere biThā kar
ḳhud apne se gila kartā rahā huuñ
jo saare shahr kā thā us kī ḳhātir
maiñ saare shahr se laḌtā rahā huuñ
maiñ vaqt-e-ḳhāna-e-mazdūr thā so
ba-taur-e-imtihāñ kaTtā rahā huuñ
bahut pahchāntā huuñ zāhidoñ ko
tumhāre ghar kā maiñ rasta rahā huuñ
ghaDi jita ghaDi marta raha hun
use jate hue takta raha hun
main KHud ko samne tere biTha kar
KHud apne se gila karta raha hun
jo sare shahr ka tha us ki KHatir
main sare shahr se laDta raha hun
main waqt-e-KHana-e-mazdur tha so
ba-taur-e-imtihan kaTta raha hun
bahut pahchanta hun zahidon ko
tumhaare ghar ka main rasta raha hun
Source: Book : Naqsh-e-karachi (Pg. 120) Author : Shahid Dehlvi,Shams Zubairi Publication : Adbi Digest (26 September 1960) Edition : 26 September 1960
Leave a comment