ḳhud hī uchhālūñ patthar ḳhud hī sar par le luuñ
jab chāhūñ suune mausam se manzar le luuñ
ā.īne se merā qātil mujh ko pukāre
laao maiñ bhī apne hāthoñ patthar le luuñ
jin rastoñ ne jaan o dil par zaḳhm sajā.e
un rastoñ se pūjne vaale patthar le luuñ
maiñ shañkar se zahr kā pyāla chhīn ke pī luuñ
lahje ke is karb meñ saare manzar le luuñ
mujh se kahe to apne dil kī baat vo zālim
us ke dil kā bojh maiñ apne sar par le luuñ
kuchh le de kar baat banā luuñ apnī 'kaifī'
kuchh duniyā ko hañs kar duuñ kuchh ro kar le luuñ
KHud hi uchhaalun patthar KHud hi sar par le lun
jab chahun sune mausam se manzar le lun
aaine se mera qatil mujh ko pukare
lao main bhi apne hathon patthar le lun
jin raston ne jaan o dil par zaKHm sajae
un raston se pujne wale patthar le lun
main shankar se zahr ka pyala chhin ke pi lun
lahje ke is karb mein sare manzar le lun
mujh se kahe to apne dil ki baat wo zalim
us ke dil ka bojh main apne sar par le lun
kuchh le de kar baat bana lun apni 'kaifi'
kuchh duniya ko hans kar dun kuchh ro kar le lun
Source: Book : Lauh-e-Jahan (Pg. 60)
Leave a comment