ḳhvāb-kārī vahī kamḳhvāb vahī hai ki nahīñ
sher kā husn abad-tāb vahī hai ki nahīñ
kyā parī ko mujhe machhlī meñ badalnā hogā
dekhne ke liye tālāb vahī hai ki nahīñ
maiñ jahāñ aayā thā peḌoñ kī tilāvat karne
sāmne qarya-e-shādāb vahī hai ki nahīñ
aañkh ko niiñd meñ ma.alūm nahīñ ho saktā
raat vo hai ki nahīñ ḳhvāb vahī hai ki nahīñ
jis ko chhūne se mirā jism chamak uTThegā
dekh ye shīsha-e-mahtāb vahī hai ki nahīñ
ye kahānī ke alaav se churā.ī huī aag
mahv-e-hairat hai ki barfāb vahī hai ki nahīñ
sar jhukāne se jahāñ ashk-e-tapāñ jaagā thā
sochtā huuñ ki ye mehrāb vahī hai ki nahīñ
KHwab-kari wahi kamKHwab wahi hai ki nahin
sher ka husn abad-tab wahi hai ki nahin
kya pari ko mujhe machhli mein badalna hoga
dekhne ke liye talab wahi hai ki nahin
main jahan aaya tha peDon ki tilawat karne
samne qarya-e-shadab wahi hai ki nahin
aankh ko nind mein malum nahin ho sakta
raat wo hai ki nahin KHwab wahi hai ki nahin
jis ko chhune se mera jism chamak uTThega
dekh ye shisha-e-mahtab wahi hai ki nahin
ye kahani ke alaw se churai hui aag
mahw-e-hairat hai ki barfab wahi hai ki nahin
sar jhukane se jahan ashk-e-tapan jaga tha
sochta hun ki ye mehrab wahi hai ki nahin
Leave a comment