Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Khawer

  • Ghazal


dhup utri hai na rahon mein ghana saya hai


dhuup utrī hai na rāhoñ meñ ghanā saaya hai
ab tire ba.ad tire shahr meñ kyā rakhā hai

yuuñ to tanhā.ī kā ehsās azal se hai hameñ
kuchh dinoñ se to dil-e-zār bahut tanhā hai

chāñdnī hū kā samāñ ek chhanāke kī sadā
jhiil kā aa.ina kyā pichhle pahar TuuTā hai

ratjage aise manā.e haiñ ki jī jāntā hai
jām-e-mahtāb ko āñkhoñ ne bahut chūmā hai

dil-e-mizrāb kī dhaḌkan hai abhī merā vajūd
tū ne vo naġhma sunā kab hai jo nā-paidā hai

maqtal-e-shahr meñ sar haiñ ki salīboñ ke hujūm
ḳhuuñ kā dariyā hai ki tā-hadd-e-nazar Thahrā hai

zindagī ret ke Tiile kī tarah hai 'ḳhāvar'
aarzū jaise koī āhū-e-be-parvā hai

dhup utri hai na rahon mein ghana saya hai
ab tere baad tere shahr mein kya rakha hai

yun to tanhai ka ehsas azal se hai hamein
kuchh dinon se to dil-e-zar bahut tanha hai

chandni hu ka saman ek chhanake ki sada
jhil ka aaina kya pichhle pahar TuTa hai

ratjage aise manae hain ki ji jaanta hai
jam-e-mahtab ko aankhon ne bahut chuma hai

dil-e-mizrab ki dhaDkan hai abhi mera wajud
tu ne wo naghma suna kab hai jo na-paida hai

maqtal-e-shahr mein sar hain ki salibon ke hujum
KHun ka dariya hai ki ta-hadd-e-nazar Thahra hai

zindagi ret ke Tile ki tarah hai 'KHawar'
aarzu jaise koi aahu-e-be-parwa hai


Source: Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 102) Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972) Edition : 1972

Leave a comment

+