tanz ke tiir mirī samt chalāte kyuuñ ho
tum agar dost ho to dil ko dikhāte kyuuñ ho
dekh le ye bhī zamāna ki ho tum kitne amiir
apnī palkoñ ke nagīne ko chhupāte kyuuñ ho
ai mire paañv ke chhālo mire ham-rāh raho
imtihāñ saḳht hai tum chhoḌ ke jaate kyuuñ ho
tishnagī se mirī barsoñ kī shanāsā.ī hai
biich meñ nahr kī dīvār uThāte kyuuñ ho
merī tārīk shaboñ meñ hai ujālā in se
chāñd se zaḳhmoñ pe marham ye lagāte kyuuñ ho
us se jab ahd-e-vafā kar hī liyā hai 'ājiz'
be-vafā kah ke use ashk bahāte kyuuñ ho
tanz ke tir meri samt chalate kyun ho
tum agar dost ho to dil ko dikhate kyun ho
dekh le ye bhi zamana ki ho tum kitne amir
apni palkon ke nagine ko chhupate kyun ho
ai mere panw ke chhaalo mere ham-rah raho
imtihan saKHt hai tum chhoD ke jate kyun ho
tishnagi se meri barson ki shanasai hai
bich mein nahr ki diwar uThate kyun ho
meri tarik shabon mein hai ujala in se
chand se zaKHmon pe marham ye lagate kyun ho
us se jab ahd-e-wafa kar hi liya hai 'ajiz'
be-wafa kah ke use ashk bahate kyun ho
Pachas Sala Intekhab"
Leave a comment