yuuñ sañg-e-intizār se kab tak bañdhe raheñ
dīvār-e-nā-rasā.ī hī kyuuñ dekhte raheñ
guzre na koī zūd-farāmosh umr-bhar
aur be-sabab galī ke darīche khule raheñ
tum se gila-guzār hai apnī ye be-gharī
kab tak tumhāre ḳhvāb se bāhar paḌe raheñ
hālat vahī hai aaj bhī ham sañg-o-ḳhisht kī
rakh de koī jahāñ pe vahīñ par dhare raheñ
yūñhī khaḌe raheñ kisī manzil kī aas meñ
gard-e-malāl-e-hijr se raste aTe raheñ
pūchhe mire masīhā-nafas se koī 'na.īm'
tāq-e-badan meñ zaḳhm kahāñ tak jale raheñ
yun sang-e-intizar se kab tak bandhe rahen
diwar-e-na-rasai hi kyun dekhte rahen
guzre na koi zud-faramosh umr-bhar
aur be-sabab gali ke dariche khule rahen
tum se gila-guzar hai apni ye be-ghari
kab tak tumhaare KHwab se bahar paDe rahen
haalat wahi hai aaj bhi hum sang-o-KHisht ki
rakh de koi jahan pe wahin par dhare rahen
yunhi khaDe rahen kisi manzil ki aas mein
gard-e-malal-e-hijr se raste aTe rahen
puchhe mere masiha-nafas se koi 'naim'
taq-e-badan mein zaKHm kahan tak jale rahen
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment