na sub.h vus.at na shaam vus.at
ye kis ne kar dī harām vus.at
mire badan meñ simaT ga.ī hai
mire paroñ kī tamām vus.at
havas ke sho.ale bhaḌak rahe haiñ
jhulas rahī hai mudām vus.at
ghuTan sī hotī hai us se mil kar
aur us ne rakkhā hai naam vus.at
tirī hī ḳhātir lahū kā saudā
to phir tujhe to salām vus.at
maiñ jab se 'amjad' simaT gayā huuñ
vo le ke baiThe haiñ ḳhaam vus.at
na subh wusat na sham wusat
ye kis ne kar di haram wusat
mere badan mein simaT gai hai
mere paron ki tamam wusat
hawas ke shoale bhaDak rahe hain
jhulas rahi hai mudam wusat
ghuTan si hoti hai us se mil kar
aur us ne rakkha hai nam wusat
teri hi KHatir lahu ka sauda
to phir tujhe to salam wusat
main jab se 'amjad' simaT gaya hun
wo le ke baiThe hain KHam wusat
Source: Book : Noquush (Pg. B-356 E370) Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954) Edition : May June 1954
Leave a comment