bahut girya karogī jānte haiñ
hameñ tum kyā kahogī jānte haiñ
hamārī hī burī lagtī thī tum ko
abhī sab kī sunogī jānte haiñ
abhī to fāsloñ ke lutf luuTo
kabhī sar bhī dhunogī jānte haiñ
hamārī to kaTegī kashmakash meñ
chahak tum bhī uThogī jānte haiñ
bahā kar ashk saarī raat goyā
ki sub.h hañs kar milogī jānte haiñ
chalī aanā akelā-pan lage to
kahāñ kab tak rahogī jānte haiñ
bahut girya karogi jaante hain
hamein tum kya kahogi jaante hain
hamari hi buri lagti thi tum ko
abhi sab ki sunogi jaante hain
abhi to faslon ke lutf luTo
kabhi sar bhi dhunogi jaante hain
hamari to kaTegi kashmakash mein
chahak tum bhi uThogi jaante hain
baha kar ashk sari raat goya
ki subh hans kar milogi jaante hain
chali aana akela-pan lage to
kahan kab tak rahogi jaante hain
Source: Book : Natamam (Pg. 17) Author : Hakeem Manzoor Publication : Samt Publication 2/48 Rajendar Nagar New Delhi-10060 (1977) Edition : 1977
Leave a comment