Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Tasawwur

  • Ghazal


husul-e-rizq ke arman nikalte guzri


husūl-e-rizq ke armāñ nikālte guzrī
hayāt ret se sikke hī Dhālte guzrī

musāfirat kī sa.ūbat meñ umr biit ga.ī
bachī to paañv se kāñTe nikālte guzrī

havā ne jashn manā.e vo intizār kī raat
charāġh-e-hujra-e-furqat sambhālte guzrī

vo tez lahar to hāthoñ se le ga.ī kashtī
phir us ke ba.ad samundar khañgālte guzrī

rasā.ī jis kī na thī be-karāñ samundar tak
vo mauj-e-nahr bhī chhīñTe uchhālte guzrī

yahī nahīñ ki sitāre the dastaras se ba.iid
zarā zarā se tamannā bhī Tālte guzrī

tamām umr 'tasavvur' ridā-e-baḳht-e-siyāh
mashaqqatoñ ke lahū se ujālte guzrī

husul-e-rizq ke arman nikalte guzri
hayat ret se sikke hi Dhaalte guzri

musafirat ki saubat mein umr bit gai
bachi to panw se kanTe nikalte guzri

hawa ne jashn manae wo intizar ki raat
charagh-e-hujra-e-furqat sambhaalte guzri

wo tez lahar to hathon se le gai kashti
phir us ke baad samundar khangalte guzri

rasai jis ki na thi be-karan samundar tak
wo mauj-e-nahr bhi chhinTe uchhaalte guzri

yahi nahin ki sitare the dastaras se baid
zara zara se tamanna bhi Talte guzri

tamam umr 'tasawwur' rida-e-baKHt-e-siyah
mashaqqaton ke lahu se ujalte guzri


Leave a comment

+