jism rū-posh the ḳhāmosh duāoñ kī tarah
saa.e phirte rahe saḌkoñ pe vabāoñ kī tarah
shāḳh par phuul khilā merī pahuñch se bāhar
bel sharmātī hai terī hī adāoñ kī tarah
dard-o-ġham Dālte rahte haiñ mire dil pe kamand
yādeñ bhī lipTī haiñ bargad kī jatāoñ kī tarah
shaam ke vaqt fazāoñ meñ ye uḌte panchhī
gasht karte haiñ ḳhalāoñ meñ sadāoñ kī tarah
ham to miTTī kī tarah sab se mile uTh uTh kar
ham se milte haiñ magar log ḳhudāoñ kī tarah
jism ru-posh the KHamosh duaon ki tarah
sae phirte rahe saDkon pe wabaon ki tarah
shaKH par phul khila meri pahunch se bahar
bel sharmati hai teri hi adaon ki tarah
dard-o-gham Dalte rahte hain mere dil pe kamand
yaaden bhi lipTi hain bargad ki jataon ki tarah
sham ke waqt fazaon mein ye uDte panchhi
gasht karte hain KHalaon mein sadaon ki tarah
hum to miTTi ki tarah sab se mile uTh uTh kar
hum se milte hain magar log KHudaon ki tarah
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment