Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Ehsani

  • Ghazal


ghar se jata hun roz sham se main


ghar se jaatā huuñ roz shaam se maiñ
raat bhar ke programme se maiñ

ai merī jān-e-intishār-pasand
tañg huuñ tere intizām se maiñ

ye jo laḌtā-jhagaḌtā huuñ sab se
bach rahā huuñ qubūl-e-ām se maiñ

maiñ utārā gayā thā arsh se aur
farsh par gir paḌā dhaḌām se maiñ

shakl kā lāhiqa nahīñ ham-rāh
jaanā jaatā huuñ sirf naam se maiñ

kyā kahūñ uubne lagā huuñ 'jamāl'
ek hī jaise sub.h o shaam se maiñ

ghar se jata hun roz sham se main
raat bhar ke programme se main

ai meri jaan-e-intishaar-pasand
tang hun tere intizam se main

ye jo laDta-jhagaDta hun sab se
bach raha hun qubul-e-am se main

main utara gaya tha arsh se aur
farsh par gir paDa dhaDam se main

shakl ka lahiqa nahin ham-rah
jaana jata hun sirf nam se main

kya kahun ubne laga hun 'jamal'
ek hi jaise subh o sham se main


Leave a comment

+