Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Ishqi

  • Ghazal


har taraf aaj hai zulmat ka pahra dekho


har taraf aaj hai zulmāt kā pahrā dekho
dil ye kahtā hai koī chāñd sā chehrā dekho

dard sargam kā huā aur bhī gahrā dekho
muskurāte hue pāzeb kā lahrā dekho

gard uḌtī hai na qadmoñ kī sadā aatī hai
qāfila dard kā kis moḌ pe Thahrā dekho

use pāyāb samajh kar na utar jaao kahīñ
bahr ḳhāmosh huā kartā hai gahrā dekho

jazbe sab mar ga.e lekin vo abhī hai zinda
ruḳh-e-maġhmūm pe hañstā huā sahrā dekho

dasht-e-pur-haul meñ rāhib sā akelā hai babūl
jaise vahshat-zada aahū koī Thahrā dekho

har taraf aaj hai zulmat ka pahra dekho
dil ye kahta hai koi chand sa chehra dekho

dard sargam ka hua aur bhi gahra dekho
muskuraate hue pazeb ka lahra dekho

gard uDti hai na qadmon ki sada aati hai
qafila dard ka kis moD pe Thahra dekho

use payab samajh kar na utar jao kahin
bahr KHamosh hua karta hai gahra dekho

jazbe sab mar gae lekin wo abhi hai zinda
ruKH-e-maghmum pe hansta hua sahra dekho

dasht-e-pur-haul mein rahib sa akela hai babul
jaise wahshat-zada aahu koi Thahra dekho


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+