Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naaz Muradabadi

  • Ghazal


aql gahwara-e-auham hui jati hai


aql gahvāra-e-auhām huī jaatī hai
har tamannā mirī nākām huī jaatī hai

bā.is-e-shorish-e-kaunain hai insāñ kī ḳhudī
be-ḳhudī morid-e-ilzām huī jaatī hai

apne parvānoñ ko ai sham-e-musalsal na jalā
zindagī vāqif-e-anjām huī jaatī hai

har ravish par chaman-e-dahr meñ yuuñ gul na khilā
har nazar dil ke liye daam huī jaatī hai

yuuñ bhī koī ruḳh-e-raushan se uThātā hai naqāb
har nazar morid-e-ilzām huī jaatī hai

kin fazāoñ meñ ziyā-rez hai ai mehr-e-jamāl
ḳhāna-e-dil meñ mire shaam huī jaatī hai

ho ke majbūr musalsal ġham-o-andoh se 'nāz'
zindagī ġharq-e-mai-o-jām huī jaatī hai

aql gahwara-e-auham hui jati hai
har tamanna meri nakaam hui jati hai

bais-e-shorish-e-kaunain hai insan ki KHudi
be-KHudi morid-e-ilzam hui jati hai

apne parwanon ko ai sham-e-musalsal na jala
zindagi waqif-e-anjam hui jati hai

har rawish par chaman-e-dahr mein yun gul na khila
har nazar dil ke liye dam hui jati hai

yun bhi koi ruKH-e-raushan se uThata hai naqab
har nazar morid-e-ilzam hui jati hai

kin fazaon mein ziya-rez hai ai mehr-e-jamal
KHana-e-dil mein mere sham hui jati hai

ho ke majbur musalsal gham-o-andoh se 'naz'
zindagi gharq-e-mai-o-jam hui jati hai


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+