Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aasi uldani

  • Ghazal


hazaron tarah apna dard hum usko sunate hain


hazāroñ tarah apnā dard ham us ko sunāte haiñ
magar tasvīr ko har haal meñ tasvīr paate haiñ

bujhā de ai havā-e-tund madfan ke charāġhoñ ko
siyah-baḳhtī meñ ye ik bad-numā dhabba lagāte haiñ

murattab kar gayā ik ishq kā qānūn duniyā meñ
vo dīvāne haiñ jo majnūñ ko dīvāna batāte haiñ

usī mahfil se maiñ rotā huā aayā huuñ ai 'āsī'
ishāre meñ jahāñ lākhoñ muqaddar badle jaate haiñ

hazaron tarah apna dard hum us ko sunate hain
magar taswir ko har haal mein taswir pate hain

bujha de ai hawa-e-tund madfan ke charaghon ko
siyah-baKHti mein ye ek bad-numa dhabba lagate hain

murattab kar gaya ek ishq ka qanun duniya mein
wo diwane hain jo majnun ko diwana batate hain

usi mahfil se main rota hua aaya hun ai 'asi'
ishaare mein jahan lakhon muqaddar badle jate hain


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+