Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqar Agah Vellori

  • Ghazal


kyun kar na aise jine se ya rab malul hun


kyuuñ kar na aise jiine se yā rab malūl huuñ
jab is tarah adam kā bhī maiñ nā-qubūl huuñ

kyā ḳhuub mere baḳht kī manDve chaḌhī hai bel
nā baaġh na bahār na kāñTā nā phuul huuñ

is ishq meñ hī kaT ga.ī sab umr par hunūz
nā llā.iq-e-firāq nā bāb-e-vasūl huuñ

taal.e kī mere dekhiye phūlī hai kyā bahār
anvā ḳhaar ḳhaar se maiñ juuñ babūl huuñ

'āgāh' ab kisī kī shikāyat maiñ kyā karūñ
dekhā jo ḳhuub aap hī apnā maiñ muul huuñ

kyun kar na aise jine se ya rab malul hun
jab is tarah adam ka bhi main na-qubul hun

kya KHub mere baKHt ki manDwe chaDhi hai bel
na bagh na bahaar na kanTa na phul hun

is ishq mein hi kaT gai sab umr par hunuz
na llaiq-e-firaq na bab-e-wasul hun

tale ki mere dekhiye phuli hai kya bahaar
anwa KHar KHar se main jun babul hun

'agah' ab kisi ki shikayat main kya karun
dekha jo KHub aap hi apna main mul hun


Source: Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 522) Author : Dr. Abdul Wahid Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers

Leave a comment

+