Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gopal Mittal

  • Ghazal


rangini-e-hawas ka wafa nam rakh diya


rañgīni-e-havas kā vafā naam rakh diyā
ḳhuddāri-e-vafā kā jafā naam rakh diyā

insān kī jo baat samajh meñ na aa sakī
insāñ ne us kā haq kī razā naam rakh diyā

ḳhud-ġharziyoñ ke saa.e meñ paatī hai parvarish
ulfat ko jis kā sidq o safā naam rakh diyā

be-mehri-e-habīb kā mushkil thā e'tirāf
yāroñ ne us kā naaz o adā naam rakh diyā

fitrat meñ aadmī kī hai mub.ham sā ek ḳhauf
us ḳhauf kā kisī ne ḳhudā naam rakh diyā

ye ruuh kyā hai jism kā aks-e-latīf hai
ye aur baat hai ki judā naam rakh diyā

muflis ko ahl-e-zar ne bhī kyā kiyā diye fareb
apnī jafā kā hukm-e-ḳhudā naam rakh diyā

rangini-e-hawas ka wafa nam rakh diya
KHuddari-e-wafa ka jafa nam rakh diya

insan ki jo baat samajh mein na aa saki
insan ne us ka haq ki raza nam rakh diya

KHud-gharziyon ke sae mein pati hai parwarish
ulfat ko jis ka sidq o safa nam rakh diya

be-mehri-e-habib ka mushkil tha e'tiraf
yaron ne us ka naz o ada nam rakh diya

fitrat mein aadmi ki hai mubham sa ek KHauf
us KHauf ka kisi ne KHuda nam rakh diya

ye ruh kya hai jism ka aks-e-latif hai
ye aur baat hai ki juda nam rakh diya

muflis ko ahl-e-zar ne bhi kya kiya diye fareb
apni jafa ka hukm-e-KHuda nam rakh diya

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 rangini-e-hawas ka wafa nam rakh diya Nomaan Shauque

Source: Book : Funoon (Monthly) (Pg. 535) Author : Ahmad Nadeem Qasmi Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986) Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986

Leave a comment

+