Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmida Mosarrat Ahmad

  • Ghazal


ho sake to mujhe ek sham inayat karna


ho sake to mujhe ik shaam ināyat karnā
barpā is dil pe mirī jaan qayāmat karnā

phir tirī yaad meñ raqsāñ hai mirī vahshat-e-dil
kitnā mushkil hai tirī yaad ko ruḳhsat karnā

aisā TuuTā hai taġhāful pe kisī ke ye dil
ham se ro ro ke kahe ab na mohabbat karnā

pyaar ke naam pe be-mol hī bik jaate haiñ
ham ko aatā nahīñ jazboñ kī tijārat karnā

hai navāzā tujhe rāziq ne to phir ai insāñ
jitnī mumkin ho tū duniyā meñ saḳhāvat karnā

jaan le kahtī huuñ lalkār ke maiñ tujh se adū
maiñ ne sīkhā hai sadā sach kī himāyat karnā

ham ne thāmā hai jo insāf kā dāman yaaro
ham se hargiz nahīñ ummīd-e-ri.āyat karnā

ho sake to mujhe ek sham inayat karna
barpa is dil pe meri jaan qayamat karna

phir teri yaad mein raqsan hai meri wahshat-e-dil
kitna mushkil hai teri yaad ko ruKHsat karna

aisa TuTa hai taghaful pe kisi ke ye dil
hum se ro ro ke kahe ab na mohabbat karna

pyar ke nam pe be-mol hi bik jate hain
hum ko aata nahin jazbon ki tijarat karna

hai nawaza tujhe raaziq ne to phir ai insan
jitni mumkin ho tu duniya mein saKHawat karna

jaan le kahti hun lalkar ke main tujh se adu
main ne sikha hai sada sach ki himayat karna

hum ne thama hai jo insaf ka daman yaro
hum se hargiz nahin ummid-e-riayat karna


Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 707)

Leave a comment

+