Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Zaidi

  • Ghazal


na phal na phul na saya shajar mein baqi hai


na phal na phuul na saayā shajar meñ baaqī hai
magar vo sūkhā huā peḌ ghar meñ baaqī hai

gire makān ko sadiyāñ guzar ga.iiñ lekin
par ab bhī ḳhauf sā dīvār-o-dar meñ baaqī hai

abhī hai der yahāñ inqalāb aane meñ
baḌā sukūt abhī shor-o-shar meñ baaqī hai

tum aanā chāho palaT kar to aa bhī sakte ho
har ek naqsh-e-qadam rahguzar meñ baaqī hai

yahī bahut hai ki ham mahfiloñ meñ milte raheñ
mohabbatoñ kā bharam to nazar meñ baaqī hai

na chāhne meñ bhī jī chāhtā hai milne ko
kamī sī koī to ḳhair-o-ḳhabar meñ baaqī hai

abhī se himmat-e-parvāz tū na chhoḌ 'zafar'
abhī to jaan tire bāl-o-par meñ baaqī hai

na phal na phul na saya shajar mein baqi hai
magar wo sukha hua peD ghar mein baqi hai

gire makan ko sadiyan guzar gain lekin
par ab bhi KHauf sa diwar-o-dar mein baqi hai

abhi hai der yahan inqalab aane mein
baDa sukut abhi shor-o-shar mein baqi hai

tum aana chaho palaT kar to aa bhi sakte ho
har ek naqsh-e-qadam rahguzar mein baqi hai

yahi bahut hai ki hum mahfilon mein milte rahen
mohabbaton ka bharam to nazar mein baqi hai

na chahne mein bhi ji chahta hai milne ko
kami si koi to KHair-o-KHabar mein baqi hai

abhi se himmat-e-parwaz tu na chhoD 'zafar'
abhi to jaan tere baal-o-par mein baqi hai


Leave a comment

+