Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqi Ahmad Puri

  • Ghazal


samne sab ke na bolenge hamara kya hai


sāmne sab ke na boleñge hamārā kyā hai
chhup ke tanhā.ī meñ ro leñge hamārā kyā hai

gulshan-e-ishq meñ har phuul tumhārā hī sahī
ham koī ḳhaar chubho leñge hamārā kyā hai

umr-bhar kaun rahe abr-e-karam kā muhtāj
dāġh-e-dil ashkoñ se dho leñge hamārā kyā hai

haath aayā na agar dast-e-hinā.ī terā
uñgliyāñ ḳhuuñ meñ Dubo leñge hamārā kyā hai

tum ne mahloñ ke alāva nahīñ dekhā kuchh bhī
ham to fōtpath pe so leñge hamārā kyā hai

apnī manzil to sarāboñ kā safar hai 'bāqī'
ham kisī raah pe ho leñge hamārā kyā hai

samne sab ke na bolenge hamara kya hai
chhup ke tanhai mein ro lenge hamara kya hai

gulshan-e-ishq mein har phul tumhaara hi sahi
hum koi KHar chubho lenge hamara kya hai

umr-bhar kaun rahe abr-e-karam ka muhtaj
dagh-e-dil ashkon se dho lenge hamara kya hai

hath aaya na agar dast-e-hinai tera
ungliyan KHun mein Dubo lenge hamara kya hai

tum ne mahlon ke alawa nahin dekha kuchh bhi
hum to footpath pe so lenge hamara kya hai

apni manzil to sarabon ka safar hai 'baqi'
hum kisi rah pe ho lenge hamara kya hai


Source: Book : Mom (Pg. 72)

Leave a comment

+