bandoñ kā mizāj ham ne dekhā
kyā kuchh nahīñ aaj ham ne dekhā
hilte hue taḳht ko sambhālo
girtā huā taaj ham ne dekhā
jiite to ḳhushī se mar na jaate
kis shaḳhs kā raaj ham ne dekhā
kyā kyā na taras taras ga.e ham
kyā kyā na samāj ham ne dekhā
ro.e haiñ to log ro paḌe haiñ
ab ke to rivāj ham ne dekhā
'gauhar' ko salām-e-shauq pahuñche
kuchh kaam na kaaj ham ne dekhā
bandon ka mizaj hum ne dekha
kya kuchh nahin aaj hum ne dekha
hilte hue taKHt ko sambhaalo
girta hua taj hum ne dekha
jite to KHushi se mar na jate
kis shaKHs ka raj hum ne dekha
kya kya na taras taras gae hum
kya kya na samaj hum ne dekha
roe hain to log ro paDe hain
ab ke to riwaj hum ne dekha
'gauhar' ko salam-e-shauq pahunche
kuchh kaam na kaj hum ne dekha
Leave a comment