Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Ayaz

  • Ghazal


palak jhapakte mein kaTte hain roz o shab mah o sal


palak jhapakte meñ kaTte haiñ roz o shab mah o saal
jo fāsle the man o tū ke darmiyāñ na rahe

vafā rifāqat-e-yak-umr kuchh nahīñ lekin
ye chāhtā huuñ ki ro.uuñ bahut gale mil ke

masāf-e-zīst meñ vo ran paḌā hai aaj ke din
na maiñ tumhārī tamannā huuñ aur na tum mere

rafīq-o-yār kahāñ ai hijāb-e-tanhā.ī
bas apne chehre ko taktā huuñ ā.īna rakh ke

hazār shor-e-tamāshā ho aañkh baaz na ho
vo ḳhvāb dekh ke baiThā huuñ umr bhar ke liye

palak jhapakte mein kaTte hain roz o shab mah o sal
jo fasle the man o tu ke darmiyan na rahe

wafa rifaqat-e-yak-umr kuchh nahin lekin
ye chahta hun ki roun bahut gale mil ke

masaf-e-zist mein wo ran paDa hai aaj ke din
na main tumhaari tamanna hun aur na tum mere

rafiq-o-yar kahan ai hijab-e-tanhai
bas apne chehre ko takta hun aaina rakh ke

hazar shor-e-tamasha ho aankh baz na ho
wo KHwab dekh ke baiTha hun umr bhar ke liye


Leave a comment

+