Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aashufta Changezi

  • Ghazal


aangan mein chhoD aae the jo ghaar dekh len


āñgan meñ chhoḌ aa.e the jo ġhaar dekh leñ
kis haal meñ hai in dinoñ ghar-bār dekh leñ

jab aa ga.e haiñ shahr-e-tilismāt ke qarīb
kyā chāhtī hai nargis-e-bīmār dekh leñ

hañsnā-hañsānā chhūTe hue muddateñ huiiñ
bas thoḌī duur rah ga.ī dīvār dekh leñ

arse se is dayār kī koī ḳhabar nahīñ
mohlat mile to aaj kā aḳhbār dekh leñ

mushkil hai terā saath nibhānā tamām umr
biknā hai nā-guzīr to bāzār dekh leñ

āshuftagī hamārī yahāñ laa.ī baar baar
hai kyā zarūr tujh ko bhī har baar dekh leñ

aangan mein chhoD aae the jo ghaar dekh len
kis haal mein hai in dinon ghar-bar dekh len

jab aa gae hain shahr-e-tilismat ke qarib
kya chahti hai nargis-e-bimar dekh len

hansna-hansana chhuTe hue muddaten huin
bas thoDi dur rah gai diwar dekh len

arse se is dayar ki koi KHabar nahin
mohlat mile to aaj ka aKHbar dekh len

mushkil hai tera sath nibhana tamam umr
bikna hai na-guzir to bazar dekh len

aashuftagi hamari yahan lai bar bar
hai kya zarur tujh ko bhi har bar dekh len


Leave a comment

+