Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tabish Kamal

  • Ghazal


na dekhen to sukun milta nahin hai


na dekheñ to sukūñ miltā nahīñ hai
hameñ āḳhir vo kyuuñ miltā nahīñ hai

mohabbat ke liye jazba hai lāzim
ye ā.īna to yuuñ miltā nahīñ hai

ham ik muddat se dar par muntazir haiñ
magar izn-e-junūñ miltā nahīñ hai

hai jitnā zarf utnī pāsdārī
zarūrat hai fuzūñ miltā nahīñ hai

ajab hotī hai ā.inda mulāqāt
hamesha juuñ kā tuuñ miltā nahīñ hai

agar milte bhī hoñ apne ḳhayālāt
to ik duuje se ḳhuuñ miltā nahīñ hai

vo mere shahr meñ rahtā hai 'tābish'
magar maiñ kyā karūñ miltā nahīñ hai

na dekhen to sukun milta nahin hai
hamein aaKHir wo kyun milta nahin hai

mohabbat ke liye jazba hai lazim
ye aaina to yun milta nahin hai

hum ek muddat se dar par muntazir hain
magar izn-e-junun milta nahin hai

hai jitna zarf utni pasdari
zarurat hai fuzun milta nahin hai

ajab hoti hai aainda mulaqat
hamesha jun ka tun milta nahin hai

agar milte bhi hon apne KHayalat
to ek duje se KHun milta nahin hai

wo mere shahr mein rahta hai 'tabish'
magar main kya karun milta nahin hai


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+