Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vineet Aashna

  • Ghazal


sab zarurat ka to saman hai ghar mein rahiye


sab zarūrat kā to sāmān hai ghar meñ rahiye
kyā huā gar koī halkān hai ghar meñ rahiye

bhiiḌ meñ bhī na the siine se lagāne vaale
aaj to shahr hī vīrān hai ghar meñ rahiye

saañs ghuT jā.egī dīvāroñ ke ke andar ik din
aur sunte haiñ ki darmān hai ghar meñ rahiye

band haiñ mandir o masjid kī dukāneñ saarī
aaj bāzār ye sunsān hai ghar meñ rahiye

kal talak mulk se bāhar jo kiye dete the
ab to un kā bhī ye farmān hai ghar meñ rahiye

har maraz meñ nahīñ hotī hai suhūlat itnī
bhuuk se marnā to āsān hai ghar meñ rahiye

qaid phir qaid hī hotī hai magar hasb-e-hāl
sab se behtar yahī zindān hai ghar meñ rahiye

aap dil se mujhe be-daḳhl kiye dete haiñ
ab to sarkār kā elaan hai ghar meñ rahiye

us kī tasvīr in āñkhoñ ke liye kaafī hai
aur phir miir kā dīvān hai ghar meñ rahiye

sab zarurat ka to saman hai ghar mein rahiye
kya hua gar koi halkan hai ghar mein rahiye

bhiD mein bhi na the sine se lagane wale
aaj to shahr hi viran hai ghar mein rahiye

sans ghuT jaegi diwaron ke ke andar ek din
aur sunte hain ki darman hai ghar mein rahiye

band hain mandir o masjid ki dukanen sari
aaj bazar ye sunsan hai ghar mein rahiye

kal talak mulk se bahar jo kiye dete the
ab to un ka bhi ye farman hai ghar mein rahiye

har maraz mein nahin hoti hai suhulat itni
bhuk se marna to aasan hai ghar mein rahiye

qaid phir qaid hi hoti hai magar hasb-e-haal
sab se behtar yahi zindan hai ghar mein rahiye

aap dil se mujhe be-daKHl kiye dete hain
ab to sarkar ka elan hai ghar mein rahiye

us ki taswir in aankhon ke liye kafi hai
aur phir mir ka diwan hai ghar mein rahiye


Leave a comment

+