Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imam Bakhsh Nasikh

  • Ghazal


saf qasid ko wan jawab mila


saaf qāsid ko vaañ javāb milā
mere ḳhat kā yahī javāb milā

aaj zarre ko āftāb milā
ki mujhe sāġhar-e-sharāb milā

kahte haiñ sub.h-dam vo dekh ke muñh
jā-e-ā.īna āftāb milā

be-sabāt apnī bazm-e-aish jo hai
shīsha-e-mai kī jā habāb milā

baḳht ne paa.ī jab ki bedārī
mere pā-e-talab ko ḳhvāb milā

ho gayā dil jo aabla saaqī
samjhe ham shīsha-e-sharāb milā

gor bhī khud rahī hai mehr ke saath
aap ḳhush ho ga.e ḳhitāb milā

kab se 'nāsiḳh' ye justujū hai mujhe
aaj vo ḳhānumāñ-ḳharāb milā

saf qasid ko wan jawab mila
mere KHat ka yahi jawab mila

aaj zarre ko aaftab mila
ki mujhe saghar-e-sharab mila

kahte hain subh-dam wo dekh ke munh
ja-e-aina aaftab mila

be-sabaat apni bazm-e-aish jo hai
shisha-e-mai ki ja habab mila

baKHt ne pai jab ki bedari
mere pa-e-talab ko KHwab mila

ho gaya dil jo aabla saqi
samjhe hum shisha-e-sharab mila

gor bhi khud rahi hai mehr ke sath
aap KHush ho gae KHitab mila

kab se 'nasiKH' ye justuju hai mujhe
aaj wo KHanuman-KHarab mila


Source: Book : Funoon (Monthly) (Pg. 565) Author : Ahmad Nadeem Qasmi Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986) Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986

Leave a comment

+