Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Ayaz

  • Ghazal


gham-e-dil ham-rahi kare na kare


ġham-e-dil ham-rahī kare na kare
anjum-e-sub.h ham to Duub chale

ḳhāmushī kis ke naqsh-e-pā pe miTī
rāste kis ko DhūñDne nikle

chāñd taare bhī shab-gazīda haiñ
sar-e-mizhgāñ koī charāġh jale

paas thī manzil-e-murād magar
ham ġham-e-raftagāñ ke saath rahe

sham-e-shab-tāb ek raat jalī
jalne vaale tamām umr jale

gham-e-dil ham-rahi kare na kare
anjum-e-subh hum to Dub chale

KHamushi kis ke naqsh-e-pa pe miTi
raste kis ko DhunDne nikle

chand tare bhi shab-gazida hain
sar-e-mizhgan koi charagh jale

pas thi manzil-e-murad magar
hum gham-e-raftagan ke sath rahe

sham-e-shab-tab ek raat jali
jalne wale tamam umr jale


Leave a comment

+