Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najeeb Ahmad

  • Ghazal


nishan kisi ko milega bhala kahan mera


nishāñ kisī ko milegā bhalā kahāñ merā
ki ek ruuh thā maiñ jism thā nishāñ merā

har ek saañs nayā saal ban ke aatā hai
qadam qadam abhī baaqī hai imtihāñ merā

mirī zamīñ mujhe āġhosh meñ sameT bhī le
na āsmāñ kā rahūñ maiñ na āsmāñ merā

chalā gayā tire hamrāh ḳhauf-e-rusvā.ī
ki tū hī raaz thā aur tū hī rāz-dāñ merā

tujhe bhī merī tarah dhuup chaaT jā.egī
agar rahā na tire sar pe sā.ebāñ merā

malāl-e-rañg-e-jalāl-o-jamāl Thahrā hai
dayār-e-sañg huā hai dayār-e-jāñ merā

ka.ī 'najīb' isī aag se janam leñge
ki merī raakh se banñā hai āshiyāñ merā

nishan kisi ko milega bhala kahan mera
ki ek ruh tha main jism tha nishan mera

har ek sans naya sal ban ke aata hai
qadam qadam abhi baqi hai imtihan mera

meri zamin mujhe aaghosh mein sameT bhi le
na aasman ka rahun main na aasman mera

chala gaya tere hamrah KHauf-e-ruswai
ki tu hi raaz tha aur tu hi raaz-dan mera

tujhe bhi meri tarah dhup chaT jaegi
agar raha na tere sar pe saeban mera

malal-e-rang-e-jalal-o-jamal Thahra hai
dayar-e-sang hua hai dayar-e-jaan mera

kai 'najib' isi aag se janam lenge
ki meri rakh se banna hai aashiyan mera


Leave a comment

+