maiñ takiye par sitāre bo rahā huuñ
janam-din hai akelā ro rahā huuñ
kisī ne jhāñk kar dekhā na dil meñ
ki maiñ andar se kaisā ho rahā huuñ
jo dil par daaġh haiñ pichhlī rutoñ ke
unheñ ab āñsuoñ se dho rahā huuñ
sabhī parchhā.iyāñ haiñ saath lekin
bharī mahfil meñ tanhā ho rahā huuñ
mujhe in nisbatoñ se kaun samjhā
maiñ rishte meñ kisī kā jo rahā huuñ
maiñ chauñk uThtā huuñ aksar baiThe baiThe
ki jaise jāgte meñ so rahā huuñ
kise paane kī ḳhvāhish hai ki 'sājid'
maiñ rafta rafta ḳhud ko kho rahā huuñ
main takiye par sitare bo raha hun
janam-din hai akela ro raha hun
kisi ne jhank kar dekha na dil mein
ki main andar se kaisa ho raha hun
jo dil par dagh hain pichhli ruton ke
unhen ab aansuon se dho raha hun
sabhi parchhaiyan hain sath lekin
bhari mahfil mein tanha ho raha hun
mujhe in nisbaton se kaun samjha
main rishte mein kisi ka jo raha hun
main chaunk uThta hun aksar baiThe baiThe
ki jaise jagte mein so raha hun
kise pane ki KHwahish hai ki 'sajid'
main rafta rafta KHud ko kho raha hun
Source: Book : Atraaf (Pg. 83) Author : Obaid Haris Publication : National Human For Needful Foundation, Nagpur (2015) Edition : 2015
Leave a comment