Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Ayaz

  • Ghazal


ye shahr shahr ki aabaadiyan fana ki taraf


ye shahr shahr kī ābādiyāñ fanā kī taraf
ye jītī-jāgtī āñkhoñ meñ vahshat-e-sahrā

mohabbatoñ ke basere nahīñ makānoñ meñ
humakte bachchoñ pe āseb-e-vaqt kā saayā

balā-e-roz-e-jazā Tal ga.ī saroñ se magar
diloñ kī tah meñ dhaḌaktī hai haibat-e-fardā

havas vo kāsa-e-sā.il ki har nafas ḳhālī
baham hai daulat-e-kaunain dil tahī-māya

ye mere ahd kī maḳhlūq jī rahī hai magar
nafas kī āmad-o-shud par madār hai is kā

ye shahr shahr ki aabaadiyan fana ki taraf
ye jiti-jagti aankhon mein wahshat-e-sahra

mohabbaton ke basere nahin makanon mein
humakte bachchon pe aaseb-e-waqt ka saya

bala-e-roz-e-jaza Tal gai saron se magar
dilon ki tah mein dhaDakti hai haibat-e-farda

hawas wo kasa-e-sail ki har nafas KHali
baham hai daulat-e-kaunain dil tahi-maya

ye mere ahd ki maKHluq ji rahi hai magar
nafas ki aamad-o-shud par madar hai is ka


Leave a comment

+