Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Dana

  • Ghazal


wahi dard hai wahi bebasi tere ganw mein mere shahr mein


vahī dard hai vahī bebasī tire gaañv meñ mire shahr meñ
be-ġhamoñ kī bhiiḌ meñ aadmī tire gaañv meñ mire shahr meñ

yahāñ har qadam pe savāl hai vahāñ har qadam pe malāl hai
baḌī uljhanoñ meñ hai zindagī tire gaañv meñ mire shahr meñ

kise dost apnā banā.eñ ham kise dil kā haal sunā.eñ ham
sabhī ġhair haiñ sabhī ajnabī tire gaañv meñ mire shahr meñ

haiñ sabhī kī apnī zarūrateñ koī kaise bāñTe mohabbateñ
na ḳhulūs hai na hai dostī tire gaañv meñ mire shahr meñ

na vo husn hai na hijāb hai na vo ishq meñ tab-o-tāb hai
na vo ābrū-e-vafā rahī tire gaañv meñ mire shahr meñ

maiñ ilāj-e-ġham bhī na kar sakā tirā jaam to bhī na bhar sakā
hai har ek moḌ pe tishnagī tire gaañv meñ mire shahr meñ

ye hasad jahāñ kī nazar meñ hai ġham-e-'dānā' un ke jigar meñ hai
hai sabhī ko pyaar se dushmanī tire gaañv meñ mire shahr meñ

wahi dard hai wahi bebasi tere ganw mein mere shahr mein
be-ghamon ki bhiD mein aadmi tere ganw mein mere shahr mein

yahan har qadam pe sawal hai wahan har qadam pe malal hai
baDi uljhanon mein hai zindagi tere ganw mein mere shahr mein

kise dost apna banaen hum kise dil ka haal sunaen hum
sabhi ghair hain sabhi ajnabi tere ganw mein mere shahr mein

hain sabhi ki apni zaruraten koi kaise banTe mohabbaten
na KHulus hai na hai dosti tere ganw mein mere shahr mein

na wo husn hai na hijab hai na wo ishq mein tab-o-tab hai
na wo aabru-e-wafa rahi tere ganw mein mere shahr mein

main ilaj-e-gham bhi na kar saka tera jam to bhi na bhar saka
hai har ek moD pe tishnagi tere ganw mein mere shahr mein

ye hasad jahan ki nazar mein hai gham-e-'dana' un ke jigar mein hai
hai sabhi ko pyar se dushmani tere ganw mein mere shahr mein


Source: Deewan-e-Aagha

Leave a comment

+